Zindan Ke Andhere

zindan ke andhere may laasha hai sakina ka
sajjad ke seene may sadma hai sakina ka

zindan se reha hokar chautees baras roye
rone ka sabab poocha maula ne kaha roke
ye khoon ke aansu hi pursa hai sakina ka
zindan ke andhere…

kano ka lahoo behkar daaman pe jo girta tha
har khatra e khoon goya abbas ka nauha tha
dil furqat e ghazi may dukhta hai sakina ka
zindan ke andhere…

rassi ki aziyat thi aur pyas ki shiddat bhi
har lamha tamachon ki sehti thi aziyat bhi
maa kehti thi dam ab to ghut-ta hai sakina ka
zindan ke andhere…

phoolon pe jo soti thi ab khaak ka bistar hai
na baap na bhai hai ye kaisa muqaddar hai
zaalim ke tamache hai chehra hai sakina ka
zindan ke andhere…

turbat bandhe hathon se abid ne bana to li
mayyat ko zarurat ab chote se kafan ki thi
zainab ne kaha bas ye kurta hai sakina ka
zindan ke andhere…

dafna diya kurte may bachi ke janaze ko
ye baat hi kaafi thi sajjad ke rone ko
ab qaid qayamat tak laasha hai sakina ka
zindan ke andhere…

jab hoke reha ghar ko sab ahle haram aaye
sughra ke sawalon par dil dard se thar-raye
kya haal hai sughra ne poocha hai sakina ka
zindan ke andhere…

rehan kisi ki bhi jurrat nahi ho sakti
cheene jo koi aakar ab baliyan bachi ki
zainab ki hifazat may rauza hai sakina ka
zindan ke andhere…

767 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot