Acha Kiya Baba Jo Mujko Bhula Diya

chahat ka meri kaisa ye mujko silaa diya
acha kiya baba jo mujko bhula diya

zinda raho hazaro baras shaadma raho,
baba zameen pe banke sada asaman raho
quran tum pe chaaya sare tum jahan raho,
padti hoo har namaaz may baba yehi dua
acha kiya baba….

baba tumhare baad mai kushiyo se dur hoo,
lekin tumhari raah mai takti zaroor hoo
bemaar-o-naatwa hoo ghamo se mai choor hoo,
ab ke to din bhi eid ka rokar guzar gaya
acha kiya baba….

raaton ko jaag jaag ke karti hoo ye dua,
kunbe furaat aaye mere dasht-e-karbala
darya ke pas qaima ho sheh ka laga huwa,
garmi ke din hai amma ke sar par rahe rida
acha kiya baba….

asghar ko bhej do ali akbar ko bhej do,
kuch roz to sahi meri maadar ko bhej do
koi nahi to bas meri khaahar ko bhej do,
honton pe ab tu sughra ka dam hai ruka huwa
acha kiya baba….

karta hai kaun yu bhi mareezo se itna pyar,
mai gul fiza rasida hoo tum ho meri bahaar
waise bhi ab naseeb may mere hai intezaar,
bujta huwa charaag hoo apne mazaar ka
acha kiya baba….

haa ye khalak he amma ne mujko kiya na yaad,
akbar ko lene aayenge kitna tha ehtemad
allah ab to poori karega meri muraad,
aayega jab madine may karbal ka khafela
acha kiya baba….

lagta hai meri khabr pe aaoge ae padar,
wo bhi agar pahuch gayi takdeer se khabar
talkheen pad na paaoge baazu ko thaam kar,
tanhaiya uthayengi taabut bhi mera
acha kiya baba….

ay sarwar-o-rehaan koi jaake ye kahe,
sughra wo saaneha kahan maloom hai tujhe
baba shaheed hogaye bhai nahi raha,
ro ro ke roz kisko tu deti hai ab sada
acha kiya baba….

1,351 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot