Zameen e Karbala

zameen e karbala may zalzala hai
gulu e shah pe khanjar chala hai

lipat ke khankar e qaatil se zehra
duhayi deti hai zaalim teher ja
ye gardan bosagahe mustufa hai
zameen e karbala…

ise maine bade naazon se paala
charaghe deen ka ye hai ujaala
dil o jaane ali e murtaza hai
zameen e karbala…

isay jibreel ne jhoola jhulaya
nabi ne sar na sajde se uthaaya
agar ye pusht pe baitha raha hai
zameen e karbala…

isi ke waaste rizwan e jannat
ba roz e eid lekar aaye khil’at
nabi iske liye naapa bana hai
zameen e karbala…

aray zaalim sitam se baaz aaja
hai khanjar ke tale uska nawasa
wo jiska tune bhi kalma padha hai
zameen e karbala…

gulu e khusk par mat phayr khanjar
yehi hai qasim e tasneem o kausar
mera bacha shababe karbala hai
zameen e karbala…

dare qaima se zainab dekhti hai
tere daste sitam may jo churi hai
behan ke waaste misle qaza hai
zameen e karbala…

sakina ko yateemi se bachale
gulu e khusk se khanjar hatale
tujhe tere khuda ka waasta hai
zameen e karbala…

na kar dunya ko khaali panjetan se
na kar yun dushmani tashna dahan se
mera shabbir be-jurm o khata hai
zameen e karbala…

sada mehshar may ye zehra ki aayi
sanad bakshish ki yun rehan paayi
mere shabbir ka noha likha hai
zameen e karbala…

2,828 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot