Zainab Ne Hilakar Shana

zainab ne hilakar shana kaha
ay saiyade sajjad utho
larza hai zameen e karbobala
zainab ne….

gardoone lahoo barsaya hai
sooraj bhi grehan may aaya hai
sar tan se hua sarwar ka juda
zainab ne….

sar kaat ke noke naiza par
aada ne rakha hai ay dilbar
paamal ki zadd par hai laasha
zainab ne….

farzande nabi par ghodon ki
mai kya karoon wo yalghaar hui
sab tukde badan sarwar ka hua
zainab ne….

masoom sakina ke bunde
uff shirm ne iss tarha kheenche
khoon kanon se ab tak hai behta
zainab ne….

hai waqt kathan aankhein kholo
sadqe ho phupi moo se bolo
bedaar ho ghash se behre khuda
zainab ne….

ukhba may tho beshak paaega
dunya may bhi kuch miljaae sila
kehde jo anees itna zehra
zainab ne….

749 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot