ye waqia hai moharam ki gyara ka bakhuda
baghair goro kafan thay shaheede karbobala
harram tamam thay chote bade rasan basta
na sar pa maqna-o-chadar na koi daad rasa
Adu nay aale nabi ko ye aake hukm diya
sawaar naaqo pe ho jao jaana hai koofa
wo naaqe aaye amari bajawe jun pa na thay
ba jabr aale mohamed sawar unpe huwe
kahoon mai kis tarha ke haath pusht par thay bandhe
sagheer bache thay maon ki chatiyon se lage
layeen bhagate thay naaqo ko is shaqawat se
na rak sake kise bache ko maa hifazat se
dhuan tha khafila bacha jo koi girta tha
wo dekti thi usay aur wo maa ko takta tha
jo bacha girta tha naaqe se dab ke marta tha
sadaye ya ali ka ek shor utta tha
udoo ye haadsa hone par bhi na rukte thay
bajaye rukne wo aur tayz chalte thay
sakina girgayi naaqe se ek shor utha
sare hussain maye naize ke zameen may gada
kaha ye shimr ne abid se jaake poocho zara
sar ab ye kyon nahi chalta hai kya hua jo ruka
ye pooch kar mujhe batlao door jaana hai
lagi jo dayr to phir tum ho taziyana hai
sambhale hatkadi aur bediya bade sajjad
khareebe sar hue shabbir ke to ki faryaad
nida ye sar ne ba-ejaz ye di ke sun rudaad
sakina girgayi naaqe se ban may zainulliba
meri sakina ko jab tak na koi laayega
sare hussain yahan se na aage jaayega
chali talaash ko jangal may zainabe muztar
sadaye deti thi kis ja ho ay meri dilbar
ye ittefak se ek samt pad gayi jo nazar
ye dekha baithi hai ek bibi yun jhukaye sar
siyaah posh khule sar hai aur roti hai
sakina godh may unki hai aur soti hai
kareeb jake ye zainab ne unse farmaya
tumhara shukriya ae bibi jo taras khaya
is ek neki se parwanae irum paaya
magar ae mohsina chehra na apna dikhlaya
mai roze hashr jo dekhun to tumko pehchanu
jo maango iske sile may wo tumko dilwadun
ye sunke sabr ka paymana bibi ka chalka
hate ke balon ko rukh se ba dard-o-yaas kaha
mai teri maa hoo tu pehcan mujko mahlakha
ay meri zainabe muztar salam le maa ka
mala hai chehre pe apne hussain ka ye lahoo
tu soong le tere bhai ki isme hai khusboo