Zainab Ne Kaha Lutgayi

zainab ne kaha lut gayi pardes may aakar
ay saqiye kausar
ghar jal gaya aur chin gayi sar se mere chadar

dil thame hue mai dare qaima pa khadi thi
aur dekh rahi thi
tha halq pa sarwar ke rawan shimr ka qanjar
ay saqiye kausar

ghazi ka alam khoon may dooba hua aaya
faryaad khudaya
darya pa kate baazu e abbas e dilawar
ay saqiye kausar

athara baras paala bade chahon se jisko
mai kho chuki usko
armaan mere rehgaye sab khaak may milkar
ay saqiye kausar

zulm bhi dhaaya gaya mujh sogh nasheen par
majbooro hazeeen par
ek teer se cheda gaya halqe ali asghar
ay saqiye kausar

aada ne sakina pa zaki aisi jafa ki
bachi ne qaza ki
beghuslo kafan dafn hui wo dukhtare sarwar
ay saqiye kausar

1,168 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot