Zainab Meri Behna
zainab meri behna ye sheh ne kaha
zainab meri behna dukhya meri behna
laut kar shaam ke zindan se jab aana zainab
tum mere qabr pe ek shamma jalana zainab
yaad rakhna ye baat ay meri jaan meri behna
zainab meri behna….
tum fateha sharbat pe dilana meri behna
zainab meri behna….
gham mere azadaar manayenge jahan may, ay meri behna
parcham kahin taboot kahin hongi sabilein, ay meri behna
majlis may sabilon pe bhi jana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
matam jo azadaar kare farshe aza par, ay meri behna
wo ashk bahaye jo masaib mere sunkar, ay meri behna
daman may un ashkon ko chupana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
abbas ke parcham ko sajaye jo azadaar, ay meri behna
bachon ko mera saqqa banaye jo azadar, ay meri behna
abbas ko darya se bulana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
jhoola mere baysheer ka phoolo se saja kar, ay meri behna
mannat koi maange mujhe aulaad ata kar, ay meri behna
us bibi ki aagosh sajana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
jab bibiyan taboot sakina ka uthaye, ay meri behna
aur nawha sakina ki aseeri ka sunaye, ay meri behna
taboot pe tum baali chadana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
jis ghar se uthay qasime naushah ki mehndi, ay meri behna
aa raasta ashkon se kare majlise shaadi, ay meri behna
us ghar ko masaib se bachana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
agar koi behen apne baradar se bichad kar, ay meri behna
nauha ye kare laut ke aaja ali akbar, ay meri behna
us behen ko bhai se milana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
kuch aur abhi tumko rulayenge sitamgar, ay meri behna
qaimo ko mere baad jalayenge sitamgar, ay meri behna
sajjad ko sholon se bachana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
jab loot ka saaman milay qaid e sitam may, ay meri behna
majlis ka wahan farsh bichana mere gham may, ay meri behna
zinadan ko aza khana banana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
tum jab bhi suno mazhar o irfan ka nauha, ay meri behna
jee bhar ke dua mere azadaron ko dena, ay meri behna
in dono ko rauze pe bulana meri behna
zainab meri behna….
tum fateha….
miljayegi jab mujko masaib se rihaai, haye hussaina
mai fateha sharbat pe dilaungi ay bhai, haye hussaina
haan yaad hai bhaiya wo mujhe aap ka kehna
zainab meri behna….
1,668 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot