Abbas Tere Baad
abbas tere baad qayamat si bapa hai
qaimo may ghareebon ke faqat ye hi sada
abbas tere baad qayamat si bapa hai
pani na piya tashna rahe pani tha maujood
zinda tere kirdar hi se naame wafa hai
qaimo may ghareebon…
abbas tere baad…
kya haal hua hoga mere ghazi ka us dam
jis dam ke bhare pani ka mashkeeza chida hai
qaimo may ghareebon…
abbas tere baad…
bachon se yehi kehti rahi bali sakina
pani mera abbas chacha lene gaya hai
qaimo may ghareebon…
abbas tere baad…
abbas e dilawar bhi suye khuld sidhaare
ahle haram e shah may kohraam bapa hai
qaimo may ghareebon…
abbas tere baad…
hasrat hai ye shabbir ki ab bhai bhi kehdo
abbas ne ab tak to bas aaqa hi kaha hai
qaimo may ghareebon…
abbas tere baad…
darya pe gaye laut ke wapas nahi aaye
baba mere ammu ko batayein jo huwa hai
qaimo may ghareebon…
abbas tere baad…
abbas karayenge usay apni ziyarat
azhar ne is umeed pe ye noha kaha hai
qaimo may ghareebon…
abbas tere baad…
722 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot