zainab se jo poochi gayi rudaad-e-safar ki
dil thaam ke kehne lagi ye zainab-e-muztar
kya beet gayi shaam ke bazaar may logo
sajjad se poocho
maghmoom aseeri ka khula shaam may jaakar
jab nawha kuna noke sina par huve sarwar
bhayya ne jo nawha kiya yasrab ke makeeno
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
mehfooz hai aankhon may aziyyat ke wo lamhe
sadaat khule sar thay tamashayi khade thay
us dard ki shiddat ko agar poochna chaaho
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
thay haath pase pusht bandhe sar may padi khaak
sadmo se kaleje thay garebaan ki tarha chaak
ay logo mile zakhm jo un raahon may humko
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
jab girta tha abbas ka sar noke sina se
kya is ka sabab hai jo laeen poochne aatay
mai kehti thi mujse nahi ye baat laeeno
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
patthar kahi barsaaye gaye ehle-haram par
baaghi kabhi kehlayi gayi aale-payambar
afsos yahi hai ke musalman thay sabi to
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
jab girgayi naaqe se mere bhai ki dukhtar
wo naiza ruka jispe rakha tha sare-sarwar
us dam jo aziyyat huvi aulaad-e-nabi ko
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
jab milgayi zindaan se aseero ko rihaayi
ghar jaaye ke na jaaye kaho fatema jaayi
rokar kaha zainab ne ke mujse nahi bano
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
jab mazhar-o-irfan kiya sughra ne nawha
zainab ki zaeefi ka sabab maa se jo pucha
maa kehne lagi roke kaleje ko sambhaalo
sajjad se poocho, kya beet gayi shaam ke….
2,601 Views