Zainab Ko Ghazi Yaad

Jun jun bazaar kareeb aaya
zainab jo ghazi yaad aaya

hathon se ya phir balon se chehre ko chupale shehzadi
ye sham shehr ki galiyan hai dil thaam le ay aaqazadi
fizza ne jab ye batlaya, zainab jo ghazi yaad aaya
jun jun bazaar….

mahol sharabi jab dekha baba ki wasiyat yaad aayi
koi to mujhe chadar laa de honton pe yehi faryad aayi
jab koi nahi chadar laaya, zainab jo ghazi yaad aaya
jun jun bazaar….

phir sham ke logon ne badla ajdad ka yun zainab se liya
chadar cheeni pathar maare aur garm kabhi pani phaynka
durra jo sakina ne khaya, zainab jo ghazi yaad aaya
jun jun bazaar….

abbas kahan hai ay zainab jab shimr hikharat se bola
ghash kahan lagay sab ahle haram kulsoom pukari wavaila
sajjad ko yasrab yaad aaya, zainab jo ghazi yaad aaya
jun jun bazaar….

khamosh rahi aulad e nabi karbal se yahan tak zulm saha
khooni ye manadi kehne laga ye kunba hai ek baaghi ka
mazloom jo baaghi kehlaya, zainab jo ghazi yaad aaya
jun jun bazaar….

har gaam naya ek zulm hua lachaar musafir zainab par
zainab ko rulaaya zaalim ne naaqon ke kareeb naiza laakar
shabbir ka sar jo dikhlaya, zainab jo ghazi yaad aaya
jun jun bazaar….

farhan qayamat ka gham hai mazhar ne likha hai kya nauha
shabbir bina abbas bina ye pehla safar tha zainab ka
jun jun bazaar….

3,621 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot