Shabbir Madine Se

Do jag ke paalan haar kul hind ke autaar
shabbir mere aaqa shabbir mere maula
hirday may jaga paate jeevan may sama jaate
shabbir madine se gar hind may aajate

kuch kaal na pad jaata sansar may pani ka
do boondh agar zaalim asghar ko pila jaate
shabbir madine se..

un logon ne maula ko kaanto pe chalaya tha
palko ko bichate hum  jis aur bhi wo jaate
shabbir madine se..

ganga ke kanare par ghazi ka alam sajta
is hind ki shobha ko wo aake badha jaate
shabbir madine se..

is desh may aa jata sundar sa parivartan
har dharm ki janta ko khud kalma padha jaate
shabbir madine se..

shabbir ko janta ki chahat na agar hoti
na godh ke paalon ko maati may mila jaate
shabbir madine se..

shabbir ke bachon ke yun naaz utha-te hum
aakash ke taron ko charno my bicha jaate
sshabbir madine se..

baali na koi chinti chinti na koi chadar
ravan ke pujari na qaimo ko jala jaate
shabbir madine se..

921 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot