Rehgayi dasht may tanha to watan yaad aaya
pani paaya to har ek tishna dahan yaad aaya
leke har cheez madine se chali thi zainab
bhai ki laash pe pahunchi to kafan yaad aaya
tu be-kafan hai hussain behan be-rida hai
aayi thi madine se le kar mai apna bhara ghar bhai
logon ne mera ghar loot liya bas paas rahi tanhai
yah tashna lab tu raha hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
pani se tujhe mehroom rakha aur mujhko tere matam se
tukde hai kaleja zainab ka ay bhai faqad is gham se
sina par tera sar rakha hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
tu mere liye faryad kare mai tere liye ay bhai
mazloom musafir teri bhai baaghi ki behan kehlayi
ye gham is sitam se bada hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
laashe se tere aati hai sada sunti hai behan majaye
ay kaash koi tadbeer bane aur zainab sham na jaye
aseer e rasan khafila hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
mai qaidi bani aur sham chali mehmil na amari aayi
zainab ke liye hai sab se bada tujhse bichadna bhai
tujhe ye hi gham kha gaya hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
amma ki sada ye aati hai kyun loot liya pyase ko
sar tera badan se kaat liya pamaal kiya laashe ko
qateel e jafa tu hua hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
hai kaan sakina ke zakhmi abid ka muqaddar bedi
naizon pe shaheedo ke sar hai sadaat bane hai qaidi
abhi sham ka marhala hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
ghar tera khareeb e asr luta mai sham e alam may ujdi
khoon tere baha be-jurm o khata hamsheer is gham may ujdi
ter khoon se ye wafa hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…
ta umr padhenge ye noha farhan aur mazhar rokar
zainab ke baradar ke marqad par humne suna hai aksar
shahe deen ka ye marsiya hai behan be-rida hai
tu be-kafan hai…