as salaam ay shah-e-mazloom ghareebul ghuraba ya ababdillah
kaash hotay ya azadaar sar-e-karbobala ya ababdillah
ya ali keh ke sina kheynch to li sinay se ay payambar zaaday
khoon rulwaeyga lakhtey dil e umme laila ya ababdillah
sadma e bewagi fatima kubra nahi kam ban-e-qasim ki qasam
ek ye daag bhi aashure ke din tune saha ya ababdillah
hasrat o yaas se taktay thay haram suye furaat kar ke abbas ko yaad
sar e zainab se utari gayi jis wakht rida ya ababdillah
arsh hilta hai fiza may hai tamachon ki sada aasma kyun na gira
ek masoom ko milti hai yateemi ki saza ya ababdillah
dafn ke baad bhi qabron ko laeen khodtey hain aur sar kaat-tay hai
ferq e baysheer hai shahid sar-e-nauk e naiza ya ababdillah
830 Views