ye azadari rahe ye azadari rahe
pesh rab sham o sahar ye dua jaari rahe
ye azadari rahe….
baniye farshe aza saniye zehra hai agar
zaakire farshe aza zikre aghyaar na kar
tujhpe wajib hai ke mimbar se wafadari rahe
matame sibte nabi ho teri umr badi
mai to kya nasl meri tujhse ghaafil na rahi
kaifiyat hashr talak bas yehi taari rahe
ye azadari rahe….
ye julooson may alam hai jo uthane wale
bhool kar apni khushi sog manane wale
gham ke badle may khushi paayi to inkaari rahe
ye azadari rahe….
ye jo noha hai tammana e dil e zehra hai
ye jo matam hai nabi zaadi ne sikhlaya hai
haan ye taleem e aza jaan se tumhe pyari rahe
ye azadari rahe….
ye azakhane ye taboot ye ghazi ka alam
ye moharam ye safar kehte hai humse payham
hum rahe ya na rahe taaziyadari rahe
ye azadari rahe….
haath ka sajda hai seene pe ye matam ki dhamak
kaaba e fikr hai nauhon may ye ashkon ki chamak
unki baazare aqeedat may khareedari rahe
ye azadari rahe….
aag ko phool banane ka hunar hai matam
aag pe chalke batate hai zamane ko ye hum
munkire gham ko jalane ko ye chingari rahe
ye azadari rahe….
matame sibte nabi hai ye tijarat to nahi
taalib e ujrate gham ajr e risalat to nahi
door rehan sada tujhse gunehgari rahe
ye azadari rahe….
1,360 Views