asbab lut chuka hai qaime bhi jal chuke hai
aur zulm o sitam ki soorat aahon may dhal chuke hai
ek laashaye besar hai aur zainab
kuffar ka lashkar hai aur zainab
ashoor ka manzar hai aur zainab
bhai ki laash ran may uriyan padi hui hai
aur hamsheer sar barehna be aasra khadi hai
ab sogh ki chadar hai aur zainab
kuffar ka lashkar….
ashoor ka manzar….
nana ki qabr chooti haye watan bhi choota
tha wo ghar jo fathema ka kal tak basa hua tha
ujda hua wo ghar hai aur zainab
kuffar ka lashkar….
ashoor ka manzar….
qasim ki laash dekhi akbar ki laash dekhi
aur abbas e ba-wafa ki asghar ki laash dekhi
ab laashaye biradar hai aur zainab
kuffar ka lashkar….
ashoor ka manzar….
sholay bhadak rahe hai gulzar e panjetan may
ahle haram ke baazu baandhe hai ek rasan may
islam ka lashkar hai aur zainab
kuffar ka lashkar….
ashoor ka manzar….
phaile huye hai har soo veeraniyo ke saaye
zainab ki ek jaa hai kis kis ka gham uthaye
bemaar hai langar hai aur zainab
kuffar ka lashkar….
ashoor ka manzar….
koofe ki shahzadi sar par rida nahi hai
ye haal hai ke koi pehchanta nahi hai
darbar e sitamgar hai aur zainab
kuffar ka lashkar….
ashoor ka manzar….
2,990 Views