Mera Abbas Abhi
kaun cheenega mere sar se rida mera abbas abhi zinda hai
kaun qaimo ko jalayega bhala mera abbas abhi zinda hai
mere abbas ka mashoor hi ye jaho hashm
mera abbas to hai aale mohamed ka bharam
jaante hai ye sabhi ahle jafa
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
saniye hyder-e-karaar hai ghazi mera
sheh ke lashkar ka  alamdar hai ghazi mera
meri madar mere baba ki dua
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
chor kar apna watan iske sahare aayi
thi khabr saath hai abbas sa mera bhai
mujhko kis baat ki ho fikr bhala
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
kiski jurrat hai jo qaimo ki taraf dekh sake
kaun aisa hai jo aakar meri chadar cheene
haat katjayega jo aagay badha
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
hai shaqi kaun sakeena ke jo durr cheen sake
hai layeen kaun jo bachi ko tamachay maare
meri masoom sakina ka chacha
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
mere abbas ke saaye may to shabbir chale
kaise mumkin hai ke shabbir pe shamsheer chale
bazuye shahe umam shahe wafa
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
dushmane sheh ke lahoo se ye dubodega jahan
mil na payegi sitamgar ko kahi jaye amaan
sheh ko bekasna samajhna aada
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
sheh ne talwaar uthane ki ijazat bhi na di
safdare  khasta jigar qatl hua shere jari
bekhabar deti thi zainab ye sada
mera abbas abhi zinda hai
kaun cheenega….
911 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot