Ya Bunaiya Ilaiya
de raha hai sada ek laasha
ya bunaiya ilaiya ilaiya
sakina sakina
suye darya nahi jao beta
door darya hai laashe pade hai
abhi zaalim wahan par khade hai
tumko bhi qatl karde na aada
ya bunaiya….
tumko hai apne ammu se ulfat
kam nahi karte hum bhi mohabat
kya na manogi baba ka kehna
ya bunaiya….
us taraf dekho beta na jao
neel gaalon ke humko dikhao
kehdo humse jo hai unse shikwa
ya bunaiya….
jaake tum unse shikwa karogi
is-se takleef bhaiya ko hogi
tujhse sharminda ammu hai tera
ya bunaiya….
hai pade ran may talwaar o naize
zaqm koi tumhe aa na jaaye
dekh kar aana ban hai andhera
ya bunaiya….
kya anees haale maqtal sunaye
goonjti thi ye do hi sadayein
ya sakina sakina sakina
ya bunaiya….
3,151 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot