Haye wo bekasi
maqtal se aaya laashaye qasim
bhai hassan ki yaad satane lagi
zainab ne roke laashaye qasim pe ki buka
wa hassan sabz qaba be khata qasima
kal tera jigar tukdo may bata tha
aaj tera qasim tukdo may bat gaya
wa hassan…
dunya ne tujhko chain se rehne diya
tujhko zehr diya ye sitam khatm na hua
ye zulm chalte chalte qasim tak aa gaya
wa hassan…
ummat ne tere saath bada zulm ye kiya
tukde hua kaleja tera wa musibata
maqtal may tera qasim tukdo may batgaya
wa hassan…
tha chand fatema ka sitam ki ghataon may
ghar se chala janaza to teero ki chaon may
qasim ka laasha dhoop may pamaal hogaya
wa hassan…
tujhpar salaam ay mere mazloom-tar aqi
qasim ki tarbiyat may kamo koi na rakhi
akbar se pehle sheh pe qurban hogaya
wa hassan…
lekin tujhe kafan to mayassar tha bhai jaan
qasim to be-kafan hi gaya chor kar jahan
kyun-kar na mere lab pe har dam ho ye buka
wa hassan…
izne wigha hussain se jab mil nahi saka
taveez tera saath may laaya wo mehlaqa
dil thaam kar hussain ne be-saakhta kaha
wa hassan…
paiwast jitne teer thay taboot may tere
utne hi zakhm qasim e dilgeer ko lage
farwa ke lab pe aaya is gham se marsiya
wa hassan…
zainab ne roke mazhar o farhan ye kaha
bhai hassan ka daaghe judaai hara hua
ahle haram ne laashaye qasim pe ki buka
wa hassan…