Unees Sau Hai

Gir kar kabhi uthe kabhi rakha zameen pe sar
ubhla lahoo kabhi to sambhala kabhi jigar
hasrat se ki qayam ki jaanib kabhi nazar
karwat kabhi tadap ke idhar li kabhi udhar
uth baithe jab to zakhmo se barchi ke phal giray
teer aur tan may gad gaye jab moo ke bal giray
jangal se aayi fatema zehra ki ye sada
ummat ne mujhko loot liya wa mohamada
is waqt kaun haqqe rifaqat kare ada
zainab se boli fatema zehra basad buka

unees sau hai zakhm tan e chaak chaak par
zainab nikal hussain tadapta hai khaak par

kis chaah se paala isay aanchal may chupa kar
mai jaagti rehti isay raaaton ko sula kar
chakki bhi jo peesi hai to godhi may bitha kar
kis haal may dekha hai isay dasht may aakar
unees sau hai…
zainab nikal…

hai kaun jo mazloom ko teero se bachaye
seh roz ke pyase ko koi pani pilaye
zakhmo may bhari khaak koi aake chudaye
har laash uthayi hai isay kaun uthaye
unees sau hai…
zainab nikal…

abbas ke marne se kamar toot chuki hai
akbar ke bichad jaane se beenayi gayi hai
in aankhon may baysheer ki turbat bhi bani hai
hai aakhri lamhaat ajal sar pe khadi hai
unees sau hai…
zainab nikal…

kuch daye may khanjar mere bache pe chalega
afsos dam e zibha bhi pani na milega
khanjar ki kayi zarbo se sar iska katega
ghayoor hai beta hargiz na sahega
unees sau hai…
zainab nikal…

baakhi hai abhi jaan tera bhai hai zinda
ghode kahin dauda na de be-dard hai aada
haye haye koi bekas ko nahi poochne wala
bhai se mohabbat hai to maqtal may chali aa
unees sau hai…
zainab nikal…

ye bain mai sunti hoo tere baba ali se
ho jayenge pamaal abhi laash sabhi ke
kuch marhale baakhi hai ghareeb ul watani ke
ja haal zara dekh le is pyase aqi ke
unees sau hai…
zainab nikal…

aajiz hai yahan aa kar har ek sukhanwar
farhan anees e shahe waala ho ke mazhar
likh paaya nahi aaj talak koi wo manzar
jab kehti thi zainab se mere bibi tadap kar
unees sau hai…
zainab nikal…

797 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot