shireen shireen…
wada jo kiya hai wo nibhayega hussain
noke naiza pe bhi gar hoga to aayega hussain
akbar o qasim o abbas ko bhi laayega
shireen ghar tere akela nahi aayega hussain
wada jo kiya hai…
tere ghar aayega shabbir to kuch bolay baghair
saare ehwaal ghareebi ke sunayega hussain
wada jo kiya hai…
saath may zainab o kulsoom bhi honge uske
raunaqe yun bhi tere ghar ki badhayega hussain
wada jo kiya hai…
jeete ji royegi tu dekh jin tohfon ko
tohfe kuch aise tere waaste layega hussain
wada jo kiya hai…
jab teri galiyon se hoga tere maula ka guzar
tere ghar se qadam aagay na badhayega hussain
wada jo kiya hai…
ye bata shireen tu pehchan to legi usko
jab sare noke sina ghar tere aayega hussain
wada jo kiya hai…
shireen dil apna tu us waqt sambhale rakhna
jab behan kehke tujhe paas bulayega hussain
wada jo kiya hai…
shaah ay noor ali karte thay shireen se bayan
jo tere dil may kasak hai wo mitayega hussain
wada jo kiya hai…