Thi Karbla May

thi karbala may haq ko zaroorat hussain ki
lagti watan may kaise haaye tabiyat hussain ki
teeron ki chaon may wo imamat hussain ki
ran me sipar bani hai jamaat hussain ki

hurr baar baar kehta tha dum todte hue
jee bhar ke kar saka na mai nusrath hussain ki
thi karbala may….

daaman chuda sake na sakina se shaahe deen
ruqsat ke waqt ghair thi halat hussain ki
thi karbala may….

maqtal may jab sakina ne baba ko di sada
tadpi tadap ke rehgayi maiyat hussain ki
thi karbala may….

aaya hai tumse qaid my milne sare hussain
utho sakina karlo ziyarat hussain ki
thi karbala may….

umme rabab saaye may baithi na umr bhar
roti thi yaad karke musibat hussain ki
thi karbala may….

cheene ga kaun tujhse zamane may jeete ji
mehshar tera qalam hai amanat hussain ki
thi karbala may….

550 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot