Tay Kiya Safar Kaisay

tay kiya safar kaise pehne baydiya abid
sar khule thi naqon par saath bibiyan abid

teen din ke pyase thay aur shiddate tapti
usne kardiya hoga kitna neemjaan abid
tay kiya safar….

sar burida naizo par ran may bekafan laashe
kaise dekha aankhon ne haaye wo sama abid
tay kiya safar….

bekaja wa oonton par hai harram barehna sar
sar jhukaye jaate hai banke saarwa abid
tay kiya safar….

jalte qaimo ka manzar phirta tha nigaho may
ut-tay dekhlete thay jab kahin dhuan abid
tay kiya safar….

tauq hatkadi pehne kaise qabr khodi thi
is tarha se dafnayi shah-e-deen ki jaan abid
tay kiya safar….

jab bi jaam pani ka saamne nazar aaya
rote thay wo pyase par leke hichkiya abid
tay kiya safar….

zikr tashnakamo ka suboh shaam karta hai
yun anees hai tujhpar aaj mehrbaan abid
tay kiya safar….

591 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot