Sham Ka Bazaar
sham ka bazaar abide bemaar
paon may bedi taukhe garabaar
sham ka bazaar….

bhoolega na wo manzar naize pe sare sarwar
be makhnao be chadar balwe may phuphi madar
aur majmae kuffaar, sham ka bazaar….

bazaar ki zaybayi kothon pe tamashayi
aada ki saf araaye aur aalame tanhai
wo bekas-o-laachar, sham ka bazaar….

darbar may sar uryan aate hai haram giryan
uthne laga ek toofan mehshar ka sa hai samaa
jumbish may hai darbaar, sham ka bazaar….

boo paayi to ghabrakar bachi ne kaha rokar
is tasht may hai jo sar wo to hai sare sarwar
kaise karoo deedar, sham ka bazaar….

hakim ne ye sun paaya to aur sitam dhaaya
sar posh ko sirkaya aur bachi ko dikhlaya
chillayi wo ek baar, sham ka bazaar….

kuch shimr se farmado gardan meri khulwado
sar baba ka dilwado ya usko ye samjhado
maare na sitamgaar, sham ka bazaar….

sar jaake uthaun mai ya paas bulaun mai
rodaad sunaun mai seene se lagaloo mai
dekhe bhara darbaar, sham ka bazaar….

kehne lagi phir rokar pyari hai agar dukhtar
aajao ye haaton par sab dekhle ye manzar
ulfat ka ho ye izhaar, sham ka bazaar….

dukhtar ki sada sunkar is tasht-e-tila se sar
godi may gaya uthkar nadaan ne lipta kar
sar par rakhe rukhsaar, sham ka bazaar….

jab baba ka sar paaya dil bachi ka bhar aaya
har zulm ko dohraya logon ne jo sun paaya
aankhein hui khoon baar, sham ka bazaar….

zindan may aneese gham karte hai haram matam
maa poochti hai payham kyon aankh hai ye purnam
kya margayi dildaar, sham ka bazaar….
4,862 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot