ghame hussain manana bahot zaroori hai
hussaini shama jalana bahot zaroori hai
raahe nijaat may khursheede zindagi ke liye
baqa ke waaste khaaliq ki bandagi ke liye
jihalaton ke andheron may roshni ke liye
hussaini shama jalana bahot zaroori hai
ghame hussain….
wo jisme asghare masoom ka tabassum hai
wo jisme ashkon ka sailaab hai talatum hai
wo jisme aakhri shabbir ki sada gum hai
wo daastan sunana bahot zaroori hai
ghame hussain….
ye wo hussain hai jo faqre ibne adam hai
ke jiske zere qadam rifat e do aalam hai
usi hussain ke gham may ye shore matam hai
ye baat sab ko batana bahot zaroori hai
ghame hussain….
wo jisne deen bachaya hai karbala aakar
wo jisne aakhri sajda kiya tahe khanjar
wo jiske dar pe farishte jhuka rahe hai sar
sar uske gher pe jhukana bahot zaroori hai
ghame hussain….
wo bhook-o-pyas wo barchi wo seenae akbar
wo mashk aur wo baazu kate jo darya par
wo sheh ka aakhri sajda wo shimr ka khanjar
har ek ko yaad dilaana bahot zaroori hai
ghame hussain….
4,209 Views