Aseer Hoke Chali Salaam Ay Baba
aseer hoke chali hoo salaam ay baba
yahan se jaati hoo zindan e shaam ay baba

suno sakina se gham ka payam ay baba
hamare jal gaye saare qayam ay baba
kahan kahan ho na jane qayam ay baba
hai wajhe zeest tumhara hi naam ay baba
aseer hoke chali….

suna hai sham ka darbar jab bhara hoga
yazeed ka sare darbar saamna hoga
mere to bhai bhi zanjeer se bandha hoga
phupu jo pahunchegi darbar may to kya hoga
aseer hoke chali….

abhi se shaam ko jaane ki ibteda dekho
rasan se ghut-ta hai baba mera gala dekho
phupi ke sar se bhi to cheenli rida dekho
ye ibteda hai to kya hogi inteha dekho
aseer hoke chali….

ga poocho sabr to mai fathema ki poti hoo
mai apne kunbe ki mazlumiyat ko roti hoo
tumhay na paake bahot dilfigar hoti hoo
ye kehke tan se bureeda se jaan khoti hoo
aseer hoke chali….

na poocho haalate bemaar e karbala baba
hamare hai yehi salaar e khafila baba
chupi se seh gaye har zulm har jafa baba
hai aaj shaam ki manzil kamar hala baba
aseer hoke chali….

ye mera aakhri ab to salam lo baba
jo ho sake to gala aake khol do baba
zaroor aana bulaungi aap ko baba
dua karo mujhe eeza na aur ho baba
aseer hoke chali….

hai ab bhi pesh e nazar waaqiyat e karbobala
wohi hai shimr ka khanjar wohi hai sheh ka gala
wohi hai sham ka bazaar aur wohi koofa
urooj ab bhi sakina ki aa rahi hai sada
aseer hoke chali….
1,460 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot