Sajjad Ki Aayi Sada

Sajjad pe is waqt qayamat ghadi hai
zainab dayare sham may sar nange khadi hai
sajjad ki aayi sada kaisa sitam ye hogaya
ya rab dayare ghair may binte ali hai be-rida

na mehramon ki bheed may kaunain ki shehzadiyo
is dard se rota hoo mai qaidi bani saydaniya
ye dil sukoon na payega ye gham mujhe kha jayega
ya rab dayaare…
sajjad ki aayi…

kaise saje hai baam o dar kis zulm ki tajdeed hai
qaidi hai aal e mustafa in shamiyo ki eid hai
kyun sakht ho dil par bhala ye dard hai sabse bada
ya rab dayaare…
sajjad ki aayi…

sar zainab o kulsoom ka aaya usay jis dam nazar
ek ba-wafa ghayyur ka thehra nahi naize pe sar
sar khaak par uska gira karta hua bas ye buka
ya rab dayaare…
sajjad ki aayi…

pani kabhi maanga nahi tishna labon ke waaste
chadar talab karta hoo mai in bibiyon ke waaste
tareekiyo may din chupa aandhi chala aur khaak uda
ya rab dayaare…
sajjad ki aayi…

jinko chudaya qaid se meri phuphi ne baareha
qaidi bana kar laaye hai wo log hi ye hai jafa
kya waqt hum par aagaya ehsaan ka hai ye sila
ya rab dayaare…
sajjad ki aayi…

ek dard ki barchi si hai is qalb may tooti huwi
ummat bhi hai ye be-wafa taqdeer bhi roothi huwi
kaise katay ye faasla ya de qaza ya hausla
ya rab dayaare…
sajjad ki aayi…

farhan o mazhar abdi kya thi qayamat ki ghadi
ek maalike qadron qaza faryad karta tha yahi
mujh par sitam ab aur kya dhayegi ye ummat bhala
ya rab dayaare…
sajjad ki aayi…

1,027 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot