Salle ala ya hussain

Sallay Alla Ya Hussain Lyrics written in english text and recited by noha khuwan Ali Safdar in 2023.

 

 

Sallay Alla Ya Hussain Lyrics by Ali Safdar in English text

 

Sallay Alla Ya Hussain

Wajh E Baqa Naam Tera Kun Ki Nawa Ya Hussain
Hukm E Khuda Aabla Paa Ghum Ki Rida Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Islam Ki Zuban Py Har Dam Hai Ya Hussain
Quran Ki Ayaton Mein Bhi Payham Hai Ya Hussain
Yani Baqa E Haq Tera Matam Hai Ya Hussain
Qabzay Mein Teray Nabz E Do Alam Hai Ya Hussain

Haq Ki Faza Ya Hussain
Deen Ki Baqa Ya Hussain
Karbobala Ya Hussain
Sab Ki Sada Ya Hussain

Sallay Alaa Ya Hussain Hamd E Khuda Ya Hussain
Deen Ki Baqa Ya Hussain Qadr O Qaza Ya Hussain

Islam Ki Ameen Hai Haider Ka Janasheen
Roshan Hai Jis Ky Naam Say Har Khita E Zameen
Qadmon Mein Jis Ky Bethay Hain Aflaak Ky Makeen
Waris Hai Anbiya Ka Sambhalay Huye Hai Deen

Amar E Khuda Ya Hussain
Haq Ki Nawa Ya Hussain
Rah E Wafa Ya Hussain
Dill Ny Kaha Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Sallay Alaa Ya Hussain Hamd E Khuda Ya Hussain
Deen Ki Baqaa Ya Hussain Qadr O Qaza Ya Hussain

Chalta Hai Apnay Sath Adaalat Liye Huye
Meezan E Adal O Roz E Qayamat Liye Huye
Taqat Py Ikhtiar E Imamat Liye Huye
Qadmon Mein Apnay Raah E Shahadat Liye Huye

Haq Ka Nishan Ya Hussain
Shah E Zamaan Ya Hussain
Mera Makaan Ya Hussain
Dar E Amaan Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Wajh E Baqa Nam Tera Kun Ki Nawa Ya Hussain
Hukm E Khuda Aablay Paa Gham Ki Rida Ya Hussain

Sallay Alaa Ya Hussain Hamd E Khuda Ya Hussain
Deen Ki Baqa Ya Hussain Qadr O Qaza Ya Hussain

Islam Ki Ragon Mein Lahu Hai Hussain Ka
Allah Ka Adoo Jo Adoo Hai Hussain Ka
Sidra Sy Bhi Buland Uloo Hai Hussain Ka
Mil Jaye Gi Nijaat Jo Tu Hai Hussain Ka

Roz E Jaza Ya Hussain
Jood O Ataa Ya Hussain
Qadr O Qaza Ya Hussain
Azm E Wafa Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Sallay Alaa Ya Hussain Hamd E Khuda Ya Hussain
Deen Ki Baqa Ya Hussain Qadr O Qaza Ya Hussain

Zakhmon Say Choor Choor Shah E Mashraqain Hai
Hasil Kahin Aaman Na Sukoon Hai Na Chain Hai
Shor E Fughan Hai Giriya O Zaari Hai Bayn Hai
Karbobala Ki Khak Py Khoon E Hussain Hai

Sookha Gala Ya Hussain
Dy Ga Sada Ya Hussain
Tera Kaha Ya Hussain
Sab Ny Suna Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Wajh E Baqa Naam Tera Kunn Ki Nawa Ya Hussain
Hukm E Khuda Aablaa Paa Gham Ki Rida Ya Hussain

Sallay Alaa Ya Hussain Hamd E Khuda Ya Hussain
Deen Ki Baqa Ya Hussain Qadr O Qaza Ya Hussain

Tharrati Thi Zameen Larazta Tha Aasman
Teer E Sitam Ky Waar Py Hansta Tha Bay Zuban
Dariya Kanaray Khoon Mein Dooba Hua Nishan
Seena Figaar Maqta E Aadaa Mein Nojawan

Raah E Wafa Ya Hussain
Shan E Wagha Ya Hussain
Teri Adaa Ya Hussain
Hamd O Sana Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Sallay Alaa Ya Hussain Hamd E Khuda Ya Hussain
Deen Ki Baqa Ya Hussain Qadr O Qaza Ya Hussain

Ghar Baar Apna Sara Lutaya Hussain Nay
Lekin Khuda Ka Deen Bachaya Hussain Nay
Mazloomiyat Ka Zor Dikhaya Hussain Nay
Quran Bhi Sinaan Py Sunaya Hussain Nay

Rabb Ki Madad Ya Hussain
Deen Ki Qadd Ya Hussain
Aqal O Khirad Ya Hussain
Fikr E Abad Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Wajh E Baqa Naam Tera Kunn Ki Nawa Ya Hussain
Hukm E Khuda Aablay Paa Gham Ki Rida Ya Hussain

Sallay Alla Ya Hussain Hamd E Khuda Ya Hussain
Deen Ki Baqa Ya Hussain Qadr O Qaza Ya Hussain

348 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot