Qayamat Ban Kay Din Ashoor Ka Zainab Pay Aaya Hai

Qayamat Ban Kay Din Ashoor Ka Zainab Pay Aaya Hai
Hazaron Qatilon Kay Darmeyan Zahra Ka Jaaya Hai
(In the form of the day of ashoora, the day of judgment has come upon Zainab)
(Zahra’s son is surrounded by thousands of killers)

Kiya Veeran Ik Jhoola Ujara Aik Madar Ko
Bata Aey Qatil-e-Asghar Tere Kya Haath Aaya Hai
(by destroying the cradle, troubling a mother)
(what did you gain, o killers of ali asghar)

Jigar Pe Haat Rakhe Shah’ Dawre hein sooey maidaan
Sina kha kar ali akbar ne baba ko bolaya hai
(Holding his heart, shah ran towards the battleground)
(Stabbed with a spear, Ali called his father)

Sada Zahra Ki Aayi Thi Utho Ghazi Sahara Do
Mere Bete Nay Tanha Laasha-e-Akbar Uthaya Hai
(Zahra voice echoed, O Ghazi come and help)
(my son has lifted the body of Akbar alone)

Kahan Dhoonday Ali Asghar Ko Mader Kis Taraf Jaaey
Andheri Raat Hai Baysheer Nay Jungle Basaya Hai
(Where can she look for asghar, where should the mother go)
(It’s the darkness of night, Shabbir sleeps with the martyrs)

Shahe Beqas Utha Laye Hain Tukre Lash-e Qasim Ke
Tarrap Kar Maa Ne Har Tukra Kalege Se Lagaya Hai
(Shah brought the pieces of the body of Qasim)
(The distressed mother held each piece against her heart)

Dhuwan Khaimo se uth Tha Hein Haraam Fariyaad Karte Hain
Ye Phir Kis’ Ne Muhammad Mustafa Ka Ghar Jalaaya Hai
(The ladies cried as the smoke covered the tents all around)
(Then who has burnt down the house of the Prophet)

Muhaffiz Thhey Jo Parday Ke, Wo Sab Mare Gaye Ran Mein
Rida Chin-ne Ko Hai Zainab Ye Kesa Waqt Aya Hain
(All the protectors of the veil were killed on the battle ground)
(Zainab’s veil is being taken, what a difficult moment in time)

Ali ki betiyon ka sar khule bazaar mein jana
Yehi Wo Zakhm Hai Abid Ko Jis Ne Khun Rulaya Hai
(Ali’s daughters are going in the market unveiled)
(it is this grief which led Abid to cry blood)

Watan Say Bay Watan Jis Bhai Ki Khatir Hui Zainab
Qazaa Nay Bay Kafan Us Bhai Ka Laasha Dikhaya Hai

Asar Khoon-e-Abu Talib Nay Beh Ker Raig-e-Sehra Per
Rasool Allah Kay Deen-o-Shariyat Ko Bachaya Hai

420 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot