Sakina Utho Meri Jaan Utho
sakina utho meri jaan utho rehaayi mili chalo ghar chale
ye karti thi maa lehad par buka meri laadli chalo ghar chale
yahan se chalo chale karbala waheen par tumhe milenge chacha
sitam jo hue batana unhe dikhana unhe ye kurta jala
chacha jaan ko dikhana zara rida khoon bhari chalo ghar chale
sakina………
batana unhe sabhi saqtiyan mili kis qadar tujhe ghurkiyaan
hamari rida luti kis tarha chini kis tarha teri baaliyan
batana unhe bujhi kis tarha teri tasnagi chalo ghar chale
sakina………
padar se milo to dil-joyi ho batana unhe bahut royi ho
kasam lo agar tumhare bina sakina kabhi kahin soyi ho
lehad baap ki mile jab tujhe tu kehna yahi chalo ghar chale
sakina………
lehad jab mile tujhe bhai ki tu kehna usay meri laadli
rehaayi mili hame qaid se hame ab nahi azziyat koe
mere bezubaan utho ghar chale shabihe nabi chalo ghar chale
sakina………
labe alqama tu karna fughaan teri mauj hai abhi tak rawan
meri pyas par hue jo fida chacha ke mere hai baazu kahaan
kahaan mashq hai kahaan hai alam kahan hai jari chalo ghar chale
sakina………
na ab gham koi na uftaad hai wo zanjeer se ab azaad hai
phupi bhi teri tere saat hai tere saat hi wo sajjad hai
meri gham zada shabe gham kati sehar ho chuki chalo ghar chale
sakina………
labon par tere yahi baat thi watan jaayenge kabhi hum phupi
tujhe shimr ka nahi khauf ab satayenge na tujhe ab shaqi
nikal qaid se shuru hum kare nayi zindagi chalo ghar chale
sakina………
gharibon ka ye luta khaafila vida hoke phir watan jaayega
tujhe paayegi jo sughra teri to bemaar ko milegi dawa
gale milke phir bahut royegi wo behna teri chalo ghar chale
sakina………
8,809 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot