Bhool Payi Sakina

Tanhaiyan sarghoshiyan
haan sakina ki hai ye fughan
mere gardan may baandhi gayi rassiyan
mere kaano se nochi gayi baaliyan
khoon behta raha dard badtha raha
taaziyane layeeno ke aur wo jafa
bhool paayi sakina kahan

mujhko kaanto pe paidal chalaya gaya
baap ka sar dikha kar rulaya gaya
tha wo kaisa safar bibiyan nange sar
ek ek zakhm se khoon behta raha
bhool paayi…

mai jo royi to mujhko tamache lagay
thak ke soyi ko abid ko durray lagay
beech bazaar may shehre aghyaar may
haye saadaat ka jo tamasha bana
bhool paayi…

bola darbar may aake yun ek shaki
tu kaneezi may ja haakime waqt ki
kaisa lamha tha wo kaisa sadma tha wo
roke us dam pukari mai haye chacha
bhool paayi…

mere baba ka sar tasht may tha rakha
ussay gustakhiyan karte thay ashkiyan
koi haami na tha kisko deti sada
ek ghayyur bete ko ghaiz aagaya
bhool paayi…

raah may pani aata mayassar agar
daal deti thi abid ki zanjeer par
har qadam ek jafa rona bhi jurm tha
darmiyan shaamiyon ke thi aale aba
bhool paayi…

poocha haakim ne darbar may shimr se
in aseeron may binte ali kaun hai
ro rahi thi phuphi thi wo kaisi ghadi
naam phupiyon ka leta tha wo be-haya
bhool paayi…

dil pe pathar rakha aur jeeti rahi
taaziyane layeeno ke sehti rahi
dushmano ka watan mai aseere mehan
jis jagah ek lamha tha ek saal sa
bhool paayi…

kamsini aur aseeri wo zindan ki
jis jagah maut bhi aake rone lagi
yaad nashtar bani khaak bistar bani
phi ye zindan meri lehad bangaya
bhool paayi…

ek paigham hai zaairon ko yehi
shab ko bibi ke rauze pe jao kabhi
ro rahi hai wahan ab bhi tanhaiyan
sunke aaye hai farhan o mazhar sada
bhool paayi…

1,632 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot