Hai kaisa andhera ya kya hogaya hai
hai kiska janaza qayamat bapa hai
qayamat bapa hai bhala kaun qaidi hai
kya dhoondta hai kahan par banaye lehad sochta hai
qayamat bapa hai qayamat bapa hai
zaeefi may abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate
kayi baar mar ke wo zinda hua hai
behen ko zameen par sulaate sulaate
zaeefi may abid ki….
kahin aankh barsi kahin dil chida hai
kahin haath larze kahin dam ruka hai
bahattar janazo se guzra hai abid
behen ka janaza uthaate uthaate
zaeefi may abid ki….
Huwe kaan zakhmi tamache lagay thay
sakina ki aankhon my aansoo bhare thay
suye nehr takti thi hasrat se bachi
jala apna daaman bujhate bujhate
zaeefi may abid ki….
lehad ke liye mil gaya qaid khana
reha khud na ho paayi bali sakina
magar wo aseero ko qaide sitam se
rehai dilakar gayi jaate jaate
zaeefi may abid ki….
Ye zahra ki poti hai gazi ki pyari
bahot laadli hai ye apne padar ki
qayamat bapa hai
ye har baar may kya qayamat hui hai
sakina phuphi se ye kya poochti hai
kahi mar hi jaaye na zainab khudaya
kaneezi ka matlab bataate bataate
zaeefi may abid ki….
hai sakhte may bano qayamat hai kaisi
padar se wo baatein abhi kar rahi thi
magar ab kabhi bhi na bolegi bachi
ye maa ko yakeen aayega aate aate
zaeefi may abid ki….
sakina ki jaanib se ay mere maula
sada naame asgar pe hasrat hai meri
guzar jaaye akbar ki ye umr saari
sabeelo se pani pilaate pilaate
zaeefi may abid ki….