Sakina Jaag Jayegi

Haaye sajjad muhari haaye bemaar muhari
machao shor na logon sakina jaag jayegi
meri zanjeer na khencho sakina jaag jayegi

kabhi bachi ko takta hai kabhi aansu bahata hai
dar-e-zindan pe baitha musafir sabse kehta hai
zara aaram se guzro sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

kisi bhi zulm ke jo aah ki khatir wo lab khulte
tadap kar abid-e-bemaar ye kehta tha hoton se
agar ye aah nikli to sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

agar aulaad wale ho tumhe ye sab pata hoga
adhoori neendh se uth jaaye jo bachi to kya hoga
khudara shimr ko roko sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

abhi zindaan may hojayega kohram phir barpa
woh aahat sunke samjhegi ke shayad aagaye baba
dar-e-zindaan na kholo sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

ye wada hai mera pani nahi mangooga mai tumse
wo jab uthtjaye to jee-bhar ke beshak maarna durray
abhi bekas ko na maro sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

abhi azad ho tum qaid ke matlab ko kya jaano
parindo chordo zindan meri ilteja maano
chale jao na yu chehko sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

sare zinda sakina ko kaza ki neend kya aayi
kisi se kuch nahi kehta hai is mazloom ka bhai
ke ab ye darr nahi usko sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

saf-e-matam se abid ka ye akbar bayn aata hai
isse bas baap ke purse may hi ab chain aata hai
sada matam ki na roko sakina jaag jayegi
meri zanjeer na….

1,571 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot