Jago ay bali sakina dete hai awaaz baba
ek shab sakina sham ke zindan may sogayi
baba ko dekha khwab may kehte thay wo yehi
bahot ro chuki meri jaan jaag ja
chal sakina chale karbala
saath baba ke rehna sada
mujh se bichdi to soyi nahi meri jaan
ek ek saans tum par thi kohe garan
aur us par sitam qaid ki sakhtiyan
teri aaho buka par bhi pabandiyan
is liye kar raha hoo buka
chal sakina…
saath baba ke…
hai yahan sirf tanhai taarekiyan
ye ghutan aur taqdeer ki bediyan
chahne wale tere to sab hai wahan
chain aata hai apnon ke hi darmiyan
chor kar ab ye shehr e jafa
chal sakina…
saath baba ke…
yaad karta hai asghar tujhe meri jaan
tujhko awaaz deta hai wo bezaban
wo wahan reh gaya aagayi tu yahan
wo wahan nohakhwan tu yahan nohakhwan
chain dono ko aa jayega
chal sakina…
saath baba ke…
saath apne tujhe leke jaaunga mai
tere ammu se tujhko milaunga mai
haa tujhe baaliyan bhi pinaunga mai
apne seene pe tujhko sulaunga mai
hai wahan par jahan ek naya
chal sakina…
saath baba ke…
ab na talwaar o naiza hai na teer hai
karbala ab to ghazi ki jageer hai
tere baba ke khwabon ki tabeer hai
ek aagosh hai jis may baysheer hai
dil ye tera behel jayega
chal sakina…
saath baba ke…
shaam se muqtalif hai wahan ki faza
kaun tujh par wahan ab karega jafa
tera akbar bhi hai aur tere chacha
sare pehron se azad hai alqama
ab to pani bhi mil jayega
chal sakina…
saath baba ke…
zakhm saare jigar ke dikhane chalo
apne dukhde chacha ko sunane chalo
jo sitam tum ne jhele batane chalo
khaake karbal ko marham banane chalo
saare zakhmon ki lene dawa
chal sakina…
saath baba ke…
yun to har roz farhan o mazhar yuhin
baap se beti milti thi khwabon may hi
zindagi ka yehi khwaab tha aakhri
yun laga saath baba ke wo laadli
chal basi sun ke bas ye sada
chal sakina…
saath baba ke…