Sadaat Hai Pardes

Sadaat hai pardes hai aur sham-e-ghariban
kya waqt hai ghazi nahi zainab hai nigehban

ay raat andheron ko zara aur badha de
maqtal ki hawa jalte charaghon ko bujha de
dekhe na alamdar behan ko sare uryan
sadaat hai…

bibi koi jhoole ki jali raakh utha kar
kehti hai agar tu nahi aaya ali asghar
khud ran may chali aayegi baysheer teri maa
sadaat hai…

tu hi na raha jee ke karoo kya mere bache
khud apne hi haathon se meri qabr banade
laila pe ye hoga ali akbar tera ehsaan
sadaat hai…

kehte hai ye jalte huwe qaimo may musallay
sajjad tahajjud to zara chain se padlay
afsos ye mohlat bhi nahi dete musalman
sadaat hai…

darya pe tadapta hai alamdar ka laasha
maqtal may ajab haal se aati hai sakina
qaimo ka dhuan aankhon may jalta hua daaman
sadaat hai…

wo waqt takallum tha ajab binte ali par
kehne lagay maula jo naqaab apni utha kar
mai baap hoo zainab mujhe pehchan meri jaan
sadaat hai…

1,140 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot