Rida Laake Udhade
zainab aagayi hai shaam meri rida ke pasban
rida laake udhade
khula hai sar sare bazaar rida laake udhade
ay mere ghazi alamdaar rida laake udhade
khula hai sar………….
ye buturab ki beti ho kyun na faryadi
agar wo tauq-o-salasil se paaye azadi
o mera abide bemaar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai………
wo beridaai ke sadme ko kaise jhelega
ye dard abide muztar ki jaan lelega
guzar na jaaye tilafgaar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai………
mujhe chupale mere ghazi in nigahon se
sabeel aisi bana koi tai ho ye raste
na dekhe mujhko sitamgaar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai….
ghareeb hogayi ummat ne di saza mujhko
tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko
sina se gir nahi har baar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai………
tujhe sakina ke ashkon ki hai kasam ghazi
tamaam umr mai phir tujhse kuch na mangungi
ay ibne haidar-e-karrar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai………
tujhe to baba ne bakshi hai masnade aali
sawaali koi tere dar se kab gaya khaali
zamane bhar ke madadgaar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai………
kabhi jo ghar se nikalti mai saal may ek baar
tu badh ke logon se kehta tha band karo bazaar
wohi behan wohi bazaar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai………
sare hussain bhi rota hai noke naiza par
padar bhi rotay hai nana bhi bas yahi kehkar
khule saron ke wafadaar rida laake udhade
ay mere……..
khula hai………
2,644 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot