Mai Thak Gaya Hoo

Mai Thak Gaya Hoo

Aaye faras ki zeen se jab khaak par hussain
maadar ka chehra dekh ke karne lage ye bain
amma mai thak gaya hoo maa
apni aagosh may kuch dayr sulalo amma

mai thak gaya hoo ye laashe uthake ay amma
apni aagosh may kuch dayr sulalo amma

kitne naize hai mohamed ke nawase ke liye
qatl se pehle zara de dilaase ke liye
apne mazloom ko seene se lagalo amma
mai thak gaya hoo…

qatl abbas ka ho jana qaza thi meri
barchi akbar ko nahi mere kaleje may lagi
gham ki barchi mere seene se nikalo amma
mai thak gaya hoo…

ab mere khoon ka pyasa ye jangal saara
koi is dasht may nasir bhi nahi mera
ho sake to mere ghazi ko bulalo amma
mai thak gaya hoo…

halq sookha hai kaleje may dukhan hoti hai
rayt zakhmo may jo jaati hai chuban hoti hai
apni chadar ko mere zakhmo pe daalo amma
mai thak gaya hoo…

dekh ke aun o mohamed ko sare dashte bala
dil yun tukde hua jis tarha badan ka simka
mere is toote huwe dil ko sambhalo amma
mai thak gaya hoo…

koi sar par nahi gham kisko sunaye muztar
baad mere meri zainab ki chinegi chadar
meri zainab ko ujadne se bachalo amma
mai thak gaya hoo…

ye jo farhan ke mazhar ke labon par hai buka
keh rahe thay dame zibha ye shahe karbobala
zer e khanjar hoo nigahon ko hatalo amma
mai thak gaya hoo…

1,265 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot