Qayamat Aur Kya Hogi

Kya qayamat se ye kam hai
hui mohtaj chadar ki ali ki laadli beti qayamat aur kya hogi
hai kalmago tamashayi, jhuki gardan hai abid ki
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

jahan se faasla darbar ka tha chand qadmo ka
kayi ghanto may guzri hai, wahan se meri shehzadi
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

sare bazaar shaami apne bachon se ye kehte thay
satao isko sab milkar, bhatiji hai ye ghazi ki
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

sakina sayyede sajjad aur zahra wo hasti hai
ke jin par waqt se pehle, zaeefi hogayi taari
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

na jaane kis tarha badle liye hai shaam walo ne
ali asghar ke jaisi hai, lehad abbas e ghazi ki
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

na uth sakta tha aur na baith sakta tha mera kazim
ruku may chauda barson tak, raha baghdad ka qaidi
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

imame waqt hokar haye wo mazloom hai mehdi
lehad mismaar madar ki, hai is bete ne khud dekhi
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

kate baazu liye abbas ke aayengi khud zahra
mere mazloom ki majlis, takallum hashr may hogi
qayamat aur kya hogi, hui mohtaj chadar ki….

1,007 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot