Roz-e-Mehshar Khuda Kay Samnay
Roz-e-Mehshar Khuda Kay Samnay Jab Bay Rida Bint-e-Zahra Jaye Gi.

Hichkyan Siskiyan Woh Lay Lay Kaar Noha Shabbirr Ka Sunaye Gi

Sun Kay Zainab Ki Aho Zari Ko Haye Roti Rahi Hay Maa Zahra
Kuch Tabarkat Karbala Walay Sath Layi Hay Apnay Maa Zahra
Larz Jaye Ga Hashar Ka Maidaan Khoon Bhara Kurta Jab Dikhaye Gi.

Kaisa Ta Imtehan Ye Tera Jis Main Ghaar Mera Luta Sara Gaya
Deen Toh Bachgaya Tera Allah Bhai Mera Hussain Maara Gaya
Aj Mehshar Kay Roz Bhi Zainab Pursa Shabbir Ka Karay Gi.

Teray Pyaaray Nabi Ki Ummat Nay Meray Bhai Ko Mujh Say Cheen Liya
Wastay Lakh Main Nay Teray Diye Phir Bhi Saar Say Rida Ko Cheen Liya
Koyi Meri Madad Ko Na Aaya Ro Kay Zainab Yeh Kehtay Jaye Gi.

Seena Akbar Main Jab Meray Allah Ik Zalim Sina Ko Tor Gaya
Khainchi Shabbir Nay Sina Aesay Saray Nabiyon Nay Rukh Ko Mour Liya
Sabar Ki Inteha Yeh Karb-o-bala Meray Allah Na Bhool Paye Gi.

Nusrat-e-deen Kay Liye Allah Meray Bhai Nay Day Diya Akbar
Jab Bacha Na Koyi Jawan Uska Haye Chay Maa Ka Day Diya Asghar
Bay Misal Byn Gaye Yeh Qurbani Deen Ko Rang Jo Lagaye Gi.

Hay Faqat Tu Hi Laiq-e-sajda Akhri Sajda Bhai Aisa Kiya
Naizay Paar Bhi Hussain Nay Allah Naam Tera Buland Aisa Kiya
Hashar Tak Bargah Main Teri Khuda Sari Kayanat Sar Jhukaye Gi.

Khud Sada Di Rab-e-khaliq Nay Aj Woh Khuld Main Na Jaye Ga
Jo Bhi Qatil Hussain Ka Hoga Aj Meshar Main Bach Na Paye Ga
Us Ko Imran Aj Bakhshay Khuda Jis Ko Zainab Hi Bakhshwaye Gi.

1,832 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot