Ro Ro Maqtal May Kehti Thi Zainab

Ro Ro Maqtal May Kehti Thi Zainab
bhaiya bali sakina kahan hai

jaake dhoondu kahan usko ban may
shab hai tareeq sannata ran may
phook uth thi hai zere badan may
bhaiya bali sakina….

uthke darya se abbas aao
saath akbar ko tum leke jao
dhoond kar tum sakina ko lao
bhaiya bali sakina….

shayad asghar ko wo dhoondti ho
kooza pani ka lekar gayi ho
paas bhai ke na so gayi ho
bhaiya bali sakina….

ho chuki ran may shame ghariban
fauje aada may ab hai charaghan
pooch ke ye ho rahe hai ye pamaan
bhaiya bali sakina….

bhaiya dekho to kismat hamari
jaayegi kis tarha ye sawari
hogi mehmil na ab wo amaari
bhaiya bali sakina….

to laashe besar se awaaz aayi
gham na khao ay amma ki jaayi
aao zainab bulaata hai bhai
meri bali sakina yahan hai

rote rote jo neendh aagayi hai
gham ke toofan may wo kho gayi hai
mere seene pa wo sogayi hai
meri bali sakina….

sheh kahan ab sakina kahan hai
karwaan karbala ka rawan hai
taskira unka anjum jahan hai
sheh ki pyari sakina wahan hai

2,557 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot