Chuth Raha Hai Nana Ka Aasta Meri Zainab
bhai ka hua dushman ye jahan meri zainab
tang hai zameen mujh par har taraf say nargha hai
ho qareeb bhai par imtehan meri zainab
chuth raha hai….
dekhta rahon kab tak zulm ye zamanay ka
ab rahi hai sanso main ab azaan’ meri zainab
chuth raha hai….
wada apna tifli ka ab mujhey nibhana hai
hath main rasan hogi pasban meri zainab
chuth raha hai….
bhai ka safar tere lazmi hai aye khwahar
alqama pay theyreyga karvan meri zainab
chuth raha hai….
deen e haq ki nusrat ko karbala ke jungle may
khoon main nahayega karvan’ meri zainab
chuth raha hai….
bad mere ye layeenzulm tum pay dhayenge
baazuon may bandhenge rassiyan meri zainab
chuth raha hai….
qaid ho ke jaogi shaam aur kufay may
pehney hoga abid bhi beriyan meri zainab
chuth raha hai….
sheh safar ka pas manzar kah ke chup huey saghar
main hoon haq ki marzi par shadmaan’ meri zainab
chuth raha hai….