Pyaso Ki Aas
aasman dekh raha tha
saqqa koi faraat pe aaya tha tashnalab
mashkeeza bhar ke jaanibe qaima chala wo jab
barse wo teer chidgayi mashke sakina jab
roya alam faraat wafa mashk aur sab
goonji maqtal may shahe deen ki sada
qatl darya pe alamdar huwa
aur pyaso ki aas toot gayi
aaya maqtal se alam khoon may bhara
aur pyaso ki aas….
din dhala sham-e-ghariban ke andhere chaye
bas sakina ne yehi roke kaha
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe….
ab mere sar se rida jayegi zainab ne kaha
rodiye sunke shah-e-karbobala
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe….
tere ammu to teri pyas pe qurban huve
sheh ne ye bali sakina se kaha
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe….
haath may sukhe huve kooze liye baithe thay
marsiya pyaas ka maula se suna
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe….
khoon-e-abbas jo parcham se tapakte dekha
dukhtar-e-shah ka dil doob gaya
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe….
roke kulsoom se fizza ne kaha shehzadi
teri chadar ka muhafiz bhi gaya
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe….
dono haathon se kamar thame huwe sheh ne kaha
bujh gaya meri umeedon ka diya
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe…
al-atash kehke jo rote thay wo khamosh huve
chalyi mahol pe matam ki faza
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe…
roye sadaat to darya ka kanara roya
zindagi royi kahin royi qaza
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe…
ye sada mazhar o irfan bani hai nauha
qatl darya pe alamdar hua
aur pyaso ki aas….
qatl darya pe…
1,357 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot