Raat Bhar Fatima Ke Rone Ki Gonjti Hai Sada Madine Mein
Jane Kis Din Bichaye Ga Mehdi Aa Ke Farsh-e-Azza Madine Mein
Hath Pehlu Pe Kis Liye Aaya Neel Kaisa Hai Tere Chehre Par
Kya Bataye Gi Ja Ke Baba Ko Zulm Kaisa Howa Madine Mein
Jalta Darwaza Bhi Hatati Thi Haye Zahra Ke Bain Karti Thi
Aik Fizza Thi Bint-e-Sarwar Ka Jis Ne Matam Kiya Madine Mein
Ja Ke Baba Ki Qabar Par Bibi Jane Kis Dil Se Roz Kehti Thi
Ro Nahi Sakti Aap Ko Baba Aap Ki Fatima Madine Mein
Tere Akbar Ki Ya Imam-e-Zamaan Aik Hasrat Hai Pori Ho Jaye
Naam-e-Zahra Pe Ho Ada Maula Pursa Zanjeer Ka Madine Mein
905 Views