Ali Akbar Ali Asghar
Sadaye De Rahi Hai Thokare Khati Hai Maa Dar Dar
Kahan Sotay Ho Kyon Dete Nahi Awaaz Uth Uth Kar
Sadao Par Sadayein De Raha Hai Baap Hal Min Ki
Musibati Ki Ghadi Hai Chain Se Sotay Ho Tum Dilbar
Zaeefi May Pidar Yun Thokarein Khata Hai Dar Dar Ki
Koi Aisa Nahi De De Sahara Jo Zara Badh Kar
Faras Se Khaak Par Girne Ko Hai Jaan-o-dile Zehra
Hazaro Zakhm Hai Aur Ek Jisme Sibte Payghambar
Kise Awaaz Doo Kisko Pukarun Is Musibat May
Guluye Shahe Deen Par Chal Raha Hai Shimr Ka Khanjar
Madam Ke Waaste Kisko Pukaroon Aah Qaime May
Lagi Hai Aag Aur Ghash May Paday Ha Abide Muztar
Galaya May Tauq Bedi Paon May Haaton May Hadkadiya
Chala Jaata Hai Dheerey Kaarwan Pehne Hue Langar
Kahan Par So Rahe Ho Ghairate Aale Bani Hashim
Sare Bazaare Kufa Hoo Mere Sar Par Nahi Chadar
Phuphi Amma Chupaye Chahraye Ismat Ko Balon Se
Khule Sar Jaa Rahi Hai Shaam Ke Darbar May Dilbar