Kehti Thi Ye Zainab Yun Maa Ka Maan Nibhana
Ay Aun-O-Muhammad Ay Aun-O-Muhammad
Shabbir Ka Tum Sadqa Ho Ab Khaime May Beta
Tum Laut Kar Na Aana Ay Aun-O-Muhammad
Hai Maa Ko Yaqeen Tum Maa Ki Baat Rakhoge
Ye Yaad Rahe Khaime May Hai Pyase Bache
Darya Pe Agar Jaana Ho Seh Roz Ke Pyaso
Tum Pyas Na Bujhana Ay Aun-O-Muhammad
Har Haal May Tum Par Laazim Hai Shukr Khuda Ka
Ay Shehzado Hai Sabr Tumhara Virsa
Farzand Ho Tum Zainab Ke Shikwa Nahi Karna
Jab Zakhm Koi Khana Ay Aun-O-Muhammad
Kab Humpe Sitam Karne Ke Liye Aaye Hai
Yeh Badro Ohad Ke Badle Ke Liye Aaye Hai
Laazim Hai Razaz Se Pehle Maidaan May Tum Par
Madhe Ali Sunana Ay Aun-O-Muhammad
Jab Saans Tumhari Bachon Ho Ukharne Wali
Us Waqt Sirhane Aayengi Madar Meri
Dil Ki Ye Mere Khwahish Hai Us Dam Meri Maa Se
Zakhmon Ko Tum Chupana Ay Aun-O-Muhammad
Khaatil Pe Karam Nana Ki Tarha Kar Dena
Yun Laaj Mere Bhai Ke Naam Ki Rakhna
Jo Waasta De Bhai Ka Maidan Pe Us Par
Tum Taygh Na Chalana Ay Aun-O-Muhammad
Jab Laashe Uthaakar Qaime May Laaye Sarwar
Zainab Ye Boli Askhon Ko Apne Chupakar
Mai Bhi Na Tumhe Ro-ungi Aur Mere Liye Bhi
Aansu Na Tum Bahana Ay Aun-O-Muhammad
Taazeem Ki Khaatir Kyun Ut-thay Nahi Ab Beta
Dekho To Sirhane Aaye Hai Mere Bhaiya
Jaago Mere Shehzado Kya Bhoolgaye Ho
Qadmo Pe Sar Jhukana Ay Aun-O-Muhammad
Shabash Mere Bachon Hoo Mai Tumse Raazi
Yeh Kehke Takallum Khamosh Huvi Shahzadi
Naizo Pe Safar Karke Hamraah Hamaare
Tumko Hai Shaam Jaana Ay Aun-O-Muhammad
6,377 Views