Qayamat Aur Hai

har payambar par jo aayi wo musibat aur hai
karbala walo pa jo guzri qayamat aur hai

asr tak to janay kya ho pyas ki shiddat ka haal
subha se ashoor ke suraj ki hiddat aur hai

kat ke sar darul amara par hai sheh ka muntazir
kufiyo muslim ka andaaz-e-sifarat aur hai

khaynchi hai sinay-e-akbar se barchi ki ani
aakhri ye shahe deen batey ki khidmat aur hai

raig zar-e-garm par chadar bichatay hain hussain
kya karay ke laashay qasim ki haalat aur hai

baab-e-khyber ka uthaana wo shuja-at aur thi
teer kha kar muskurana ye shuja-at aur hai

dushmanan-e-karbala phir ma-arka aara hai aaj
majlis-o-matam ki shahid ab zaroorat aur hai

522 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot