Qatl Alamdar Hogaya

Kehti thi ye zainab e lachaar qatl alamdar hogaya hai
sar se meri jayegi dastaar qatl alamdar hogaya hai

Bain karo bibiyon haye alamdar e shah
zer e alam ye kaho haye alamdar e shah
bhai ke labon pe ye buka hai
zindagi ab hogayi dushwaar

Qatl alamdar…
kehti thi ye zainab…

hathon may kooze liye baithi hai ek ghamzada
koi batade usay kaisa sitam ho gaya
ab tu yehi bain kar haye alamdar e shah
aaya nahi laut kar haye alamdar e shah
mashq pe qurban hogaya hai
bali sakina ho khabar daar

Qatl alamdar…
kehti thi ye zainab…

bolay shahe karbala furqate abbas may
sab karo majlis bapa furqate abbas may
milke padho marsiya haye alamdar e shah
koi nahi aasra haye alamdar e shah
charon taraf fauje ashkiyan hai
koi nahi saaya e dewaar

Qatl alamdar…
kehti thi ye zainab…

aankhon se ye alqama jaari rahegi sada
tujhko mere ba-wafa yaad rakhehgi wafa
lab pe rahenge ye bain haye alamdar e shah
rota rahega hussain haye alamdar e shah
jeene se bezaar ho chuka hai
qatl kare mujhko sitamgaar

Qatl alamdar…
kehti thi ye zainab…

noha hai kulsoom ka haye shahe karbala
hogaya mujhko yakeen jayegi sar se rida
dil se uthi ye sada haye alamdar e shah
chor ke muhko gaya haye alamdar e shah
ab to har ek saans ek saza hai
kaise jiye ab ye dilafgaar

Qatl alamdar…
kehti thi ye zainab…

aur bhi to ab sitam dhayenge ye ashkiyan
dashte bala may mera bhai akela hua
mujhko yaqeen hogaya haye alamdar e shah
jayegi meri rida haye alamdar e shah
ahle haram ki yehi sada hai
hogaye azaad sitamgaar

Qatl alamdar…
kehti thi ye zainab…

Mazhar o farhan ye gham hai qayamat ka gham
zainab o shabbir ka haal karoo kya raqam
lab pe yehi thi sada haye alamdar e shah
daaghe judaai diya haye alamdar e shah
tu nahi to zindagi may kya hai
koi nahi dasht may ghamkhaar

Qatl alamdar…
kehti thi ye zainab…

699 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot