Matam Rahega

Shaheed e karbala ka mazloom e karbala ka
farzand e mustufa ka
matam rahenga husain ka

jaari rahega ye hukm e khuda se
ghar ghar may bapa hai zainab ki ata se
rukne nahi denge matam ka silsila
waada hai hamara ye sher e khuda se
shaheed e karbala…

bhoolenge nahi ham ta hashr sheh ka gham
ye noha padhenge jab tak hai dam may dam
aankhon may rahega barsaat ka mausam
gham ho ya khushi ho bas hoga tera gham
shaheed e karbala…

matam hai qayadat matam hai riyazat
hum ahle aza ki matam hai zaroorat
noha hi azaan hai noha hi aqaamat
sajda bhi ibadat matam bhi ibadat
shaheed e karbala…

mansab ye bada hai humko jo mila hai
matam ke liye jo zehra ne chuna hai
taqleeq hamay jo khaaliq ne kiya hai
taqleeq ka maqsad matam hi rakha hai
shaheed e karbala…

matam hi wafa hai matam hi baqa hai
matam ka musalla ye farshe aza hai
tareekh jo kholo us may ye likha hai
ye matam o noha nabiyon ne kiya hai
shaheed e karbala…

tatheer ka matam hamsheer ka matam
qurane aza ki tafseer ka matam
sajjad ke gham may zanjeer ka matam
har haal may karna dilgeer ka matam
shaheed e karbala…

farhan se mazhar ye kehta hai ro kar
yeh matam o noha hai karz lahoo par
tehreer hamari awaaz tumhari
haa zinda rakhenge matam ko zameen par
shaheed e karbala…

1,154 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot