Pehchano Khudara
zindan ki qaid kaat ke jab saniye zahra
pahunchi watan to koi bhi pehchan na paaya
arre abdullah ibne jafar e tayaar ne poocha
tu kaun hai kya naam hai tera ay zaeefa
ye sunke buka karne lagi saaniye zehra
zauja hoon aapki mujhe pehchano khudara
mai aun o mohammed ki maa hoon
pehchano khudara mujhko to jeete ji ghame shabbir ne maara
baalon ki safaydi ka sabab poocho na mujhse
in aankhon ne dekhe hai sitam karbobala ke
ghar lut gaya saara
pehchano….
mai aun….
chehre se numaya jo mere karbobala hai
ye haal to abbas ke marne se huwa hai
choota wo sahara
pehchano….
mai aun….
ek zaqm hai qasim ka mere qalbo jigar may
jo chand ujalon ka sabab tha mere ghar may
wo bhi gaya maara
pehchano….
mai aun….
bas bhai ke matam may rahi qaid bhi kaati
lekin mai kabhi aun o mohammed ko na royi
ab deti hoon pursa
pehchano….
mai aun….
baazar may abid pe zaefi huvi taari
wo aaj bhi rota hai aseeri pe hamari
ghamkhaar hamara
pehchano….
mai aun….
sadaat ke halqe ne mujhe aake chupaya
jab shaam ke hakim ne mera naam pukara
us ranj ne maara
pehchano….
mai aun….
sheerin se mulaqat huwi raah may ek baar
pehchaan nahi paayi mujhe wo bhi dilafgaar
dil roke pukaara
pehchano….
mai aun….
sadh hai kujara hi damishkhari kuja mai
karbal se chali hogayi khud karbobala mai
zulmat ka safar tha
pehchano….
mai aun….
irfan ye alfaaz jo mazhar ne likhe hai
insaan to kya cheez hai pathar ko rulade
jaise ke ye jumla
pehchano….
mai aun….
4,544 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot