Pamaal Sumay Aspa

pamaal sumay aspa ay chaak badan qasim

marne ke liye tune jab izn nahi paaya
khidmat may shah e deen ki khat baap ka pahunchaya
phir ashk-e-musalsal thay aur shah ka chehra tha
yaad aagaye kuch payma ay chaak badan qasim
pamaal sumay…

maidaan se jaise hi awaaz teri aayi
faujo ki taraf jhaptay abbas bhi sarwar bhi
bhagdar jo machi ran may har samt qayamat thi
phir ruk na saka toofan ay chaak badan qasim
pamaal sumay…

qaimo may qayamat hai kubra pay falak toota
ronay ki sadayen hai madar ko hua sadma
nou shah ko chaadar may laatay hai shah-e-waala
ab hogaya ghar veeran ay chaak badan qasim
pamaal sumay…

sandal hai na gehnay hai ubtan hai na mehndi hai
is tarha ki shaadi bhi logo kahin hoti hai
maqtal may hain baarati har samt udasi hai
aur khaak basar hai maa ay chaak badan qasim
pamaal sumay…

kuch deyr may dulhan ke haathon may rasan hogi
toote huye khabo ki ankhoo may chubhan hogi
tay hoga safar tanha kya dil pe thakan hogi
mitti may milay armaan ay chaak badan qasim
pamaal sumay…

sab farsh-e-aza par hai taqreeb-e-uroosi may
soughaat hai matam ki ashko ki rawani may
taa hashr hai gham shahid is majlis-e-shaadi may
gham khwar hain sab giryaa ay chaak badan qasim
pamaal sumay…

1,673 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot