Noha Zainab Ka Tha

noha zainab ka tha ay gaysuwo wale akbar
kis tarha gham tera madar ye uthale akbar
noha zainab ka tha ….

kya khabar thi tujhe zaalim ki nazar khaayegi
tere seene may ani barchi kidhar aayegi
chand si shakl teri khaak may mil jaayegi
maut bhi aayegi baali se to sharmayegi
door nazron se hue ghar ke ujaale akbar
noha zainab ka tha ….

aaye thay saath madine se phuphi ke beta
ghar ke is dasht may ab saath tumhara choota
baap majboor hai ke aankh ka taara toota
haaye pardes may aada ne bhara ghar loota
maa khadi roti hai seene se laga le akbar
noha zainab ka tha ….

apne taqdeer ka teri ye tamasha dekha
baap ke haaton pe binjaaye ka laasha dekha
phool qismat may na thay khoon ka sehra dekha
maa ki aankhon se wo behta hua darya dekha
teri ghamqaar ko ab kaun sambhale akbar
noha zainab ka tha ….

koi abbas ko darya se bulaale jaakar
ho khabar kaise unhe margaye ran may akbar
kyun nahi lete khabar mamu ki auno jafar
baap se uth-thegi kis tarha laashe pisar
kaun baakhi hai jo ab sheh ko sambhale akbar
noha zainab ka tha ….

qaime jalte hai nahi koi sahara beta
dhal chuki shaam hua shab ka andhera beta
daad ras koi nahi gham may hamara beta
teri furqat may nahi jeena gawara beta
sar se chinti hai rida aake bachale akbar
noha zainab ka tha ….

haatif zaidi ki nagaar sada ye aayi
waqt tha asr ka jab sheh ne shahadat paayi
kaisi anjum ye qayamat ki ghari thi aayi
laash pe rone ko beta tha na koi bhai
kaun bachon ko bhala aake sambhale akbar
noha zainab ka tha ….

2,310 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot